|
Naari ka abhimaan sahi hai gauravshaali aan sahi hai.
koi iske samaan nahi hai is jeevan ka pran yahi hai paalan poshan karti jag ka, aur srijan ka vardaan yahi hai, is se bada koi gyan na hoga, jeevan ka pehla gyan yahi hai,
jab mridu bhavon ka yahi samagam, tab kathorta ka koi bhaan nahi hai, nyo-chhaa-war karti sab pe prem, Komalta ki khaan yahi hai, bhaape sabke mann ki baatein, chanchal mann ki lagaam yahi hai,
ugra roop kar lo koi darshan, kaanpe jaise jaan nahin hai, devon ko bhi karde natmastak, is shakti se mahaan yahi hai, pralay shakti apne mein chupaye, kheel ke jaisi shaant yahi hai,
Naari ka abhimaan sahi hai gauravshaali aan sahi hai.
AbhiShapit phir bhi kyon hai, kyon iska darja samaan nahi hai, beti ko janmta dekh sukhi insaan nahin hai, kyon maat-pitr ki yeh shaan nahin hai kyon wadhoo bas ghar ka saaman kahin hai, maa, kyon ab, bas bhooli bisari yaad rahi hai,
dekh kavi yeh vyathit hai hota, kyon ki Naari ka abhimaan sahi hai gauravshaali aan sahi hai.
|